Q1.BABAJEE, guru ki najdeeki se abhaav kyon aa jata hai?
A:Bibi, aap guru kehte kisko ho?yadi shareer ko kehte ho to uska apna dayra hota hai, najdeek ya door hone se koi fark nahi padta. mere pareevar walon ko bhi utni hi pareshani aati hai jitni aapko. Najdeek aur door se koi fark nahi
hota.
Q2.BABAJEE, mujhe satsang aur sewa mein aane nahi dete,mera dil bahut karta hai. mujhe aana chahiye ya nahi? A:Bibi, asli sewa to bhajan-simran hai. bahari sewa to 1 jariya hai. apne ghar ki jimmedari nibhani hai par dono mein balance rakhna hai.
Q3.BABAJEE, mein beas bhi sewa karta hoon aur yahan bhi karta hoon, simran bhi karta hoon par mann mein bure khayal aate hain. A:Bhai sahab, bure khayal se 5-7 min ke liye khushi milti hai par sari umar guilt raha. karm bana liya par kamaya kya? agar main 10-15 din ki mauj maar li par sari umar ka pachtawa raha to kamaya kya?
Q4.BABAJEE, kehte hain agar kisi ko kuch bata do to daya mehar khatam ho jati hai. ab main question poochun to aap daya-mehar wapis to nahi le loge?ab main poochun ya na poochun? A:Beta agar jyada hai to chithi (letter) dal ke pooch lena agar general hai to pooch lo.
Q5.BABAJEE, jab main satnam waheguru japti hoon to meri surat lag ke yahan(maathe ko haath laga ke)ujala ho jata hai fir main oopar ja kar ret ke maidan mein beth jati hoon fir ghabra jati hoon aage kuch nahi hota. A:Beta aap ne namdan liya hai?nahi, bibiji fir aapne dhyan nahi karna.
Q6.BABAJEE, kya humein satsang ke samay simran karna chahiye? A:Beta, hum ulta karte hain, jab naukari par jate hain to ghar ka dhyan karte hain aur jab ghar hote hain to naukari ke baare mein sochte hain. mere kehne ka ye matlab nahi lena ki simran nahi karna.satsang ke samay agar karna chahte ho badi khushi se kar sakte ho. har cheej ka samay hota hai, satsang time satsang suno, simran time simran karo.
Q7.BABAJEE, mere se galti ho gayi maine kisi ko simra(naam) bata diya hai.aap mere se baksheesh wapis to nahi le loge? A:Bibi,aapne nahi batane the.agar maalik 1 bar jo cheej de deta hai, wapis nahi leta.
Q8.BABAJEE,maine usse 4 naam pooche the, fir bataye the. A:Beta aage se nahi batana,agar kisi ko poochna hai to dere se ya uske secretary se pooche.
Q9.BABAJEE humein satsang share karna chahiye ya nahi? A:Bhai sahab jaroor batana chahiye par yaad kisko rehta hai?uth kar bahar tak nahi jate ye bhi pata nahi hota vani ka shabad kaun sa liya hai. agar yad rehta hai to jaroor batao. ruhaniyat ki baat hajam karo aur satsang ko share karo.
Q10.BABAJEE,mujhe dhyan karte samay aansoo bahut nikalte hain aur main badi disturb hoti hoon. A:Bibi,saare taraste hain ki baksheesh ho. agar aapko baksheesh mili hai to aap keh rahe ho wapis le lo. beta ahi baat hai uski yaad mein aansoo nikalne chahiye.

Post a Comment
Post a Comment